rahbar rah-numa koi nahin hota hai
rāhbar rāh-numā koī nahīñ hotā hai
rāh-e-ulfat meñ sagā koī nahīñ hotā hai
mujh ko ḳhalvat meñ bhī tum yaad nahīñ aate ho
ḳhud pasandī se burā koī nahīñ hotā hai
dukh ke mausam meñ dilāse ke liye mere saath
yā to maiñ hotā huuñ yā koī nahīñ hotā hai
ham yatīmoñ ko duā raas nahīñ aatī haiñ
ham yatīmoñ kā ḳhudā koī nahīñ hotā hai
koī saayā na koī phuul na panchhī koī
sūkhte peḌ kā kyā koī nahīñ hotā hai
us se bichhḌā to mujhe bhuul ga.ī ḳhalq-e-ḳhudā
ghar se nikloñ kā pata koī nahīñ hotā hai
rahbar rah-numa koi nahin hota hai
rah-e-ulfat mein saga koi nahin hota hai
mujh ko KHalwat mein bhi tum yaad nahin aate ho
KHud pasandi se bura koi nahin hota hai
dukh ke mausam mein dilase ke liye mere sath
ya to main hota hun ya koi nahin hota hai
hum yatimon ko dua ras nahin aati hain
hum yatimon ka KHuda koi nahin hota hai
koi saya na koi phul na panchhi koi
sukhte peD ka kya koi nahin hota hai
us se bichhDa to mujhe bhul gai KHalq-e-KHuda
ghar se niklon ka pata koi nahin hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.