rahen dhuan-dhuan hain safar gard-gard hai
rāheñ dhuāñ-dhuāñ haiñ safar gard-gard hai
ye manzil-e-murād to bas dard-dard hai
is mausam-e-bahār meñ ai bāġhbāñ batā
chehra har ek phuul kā kyoñ zard-zard hai
apne paḌosiyoñ ko bhī pahchāntā nahīñ
mahsūr apne ḳhol meñ ab fard-fard hai
laffāziyoñ kā garm hai bāzār kis qadar
dast-e-‘amal hamārā magar sard-sard hai
kaisā tazād shāḳh-e-tamannā meñ hai 'asad'
ḳhud ye harī-harī hai samar zard-zard hai
rahen dhuan-dhuan hain safar gard-gard hai
ye manzil-e-murad to bas dard-dard hai
is mausam-e-bahaar mein ai baghban bata
chehra har ek phul ka kyon zard-zard hai
apne paDosiyon ko bhi pahchanta nahin
mahsur apne KHol mein ab fard-fard hai
laffaziyon ka garm hai bazar kis qadar
dast-e-‘amal hamara magar sard-sard hai
kaisa tazad shaKH-e-tamanna mein hai 'asad'
KHud ye hari-hari hai samar zard-zard hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.