rahgiron se rabt paida kar
rāhgīroñ se rabt paidā kar
duur jaanā hai baat samjhā kar
raat par din kā koī qarz nahīñ
zehn ko saaf rakh ke soyā kar
kyā mirā ham-ḳhayāl koī nahīñ
tū agar hai to haath ūñchā kar
raat bhar jāgne se kyā hāsil
ḳhvāb kā rāsta na rokā kar
fāsle sochne nahīñ dete
mujh ko dekho mire qarīb aa kar
aks kab kaun sā ubhar aa.e
der tak ā.īna na dekhā kar
ghar meñ 'nazmī' agar sukūñ hotā
baiThte kyoñ kisī ke ghar jā kar
rahgiron se rabt paida kar
dur jaana hai baat samjha kar
raat par din ka koi qarz nahin
zehn ko saf rakh ke soya kar
kya mera ham-KHayal koi nahin
tu agar hai to hath uncha kar
raat bhar jagne se kya hasil
KHwab ka rasta na roka kar
fasle sochne nahin dete
mujh ko dekho mere qarib aa kar
aks kab kaun sa ubhar aae
der tak aaina na dekha kar
ghar mein 'nazmi' agar sukun hota
baiThte kyon kisi ke ghar ja kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.