rahi taraf-e-mulk-e-adam hoi chuka tha
raahī taraf-e-mulk-e-adam hoī chukā thā
tū aa gayā maiñ varna sanam hoī chukā thā
biThlātī nazākat na ise gar dam-e-raftār
pāmāl ye dil zer-e-qadam hoī chukā thā
sargarm-e-suḳhan mujh se jo vo aa ke na hotā
ThanDā maiñ tah-e-teġh-e-sitam hoī chukā thā
dekhā but-e-nau-ḳhat ne jo mujh ko to kiyā chaak
naama to raqīboñ ko raqam hoī chukā thā
vo jiit ga.e pāñsa-e-taqdīr se 'tanvīr'
paas un ke to ek ek diram hoī chukā thā
rahi taraf-e-mulk-e-adam hoi chuka tha
tu aa gaya main warna sanam hoi chuka tha
biThlati nazakat na ise gar dam-e-raftar
pamal ye dil zer-e-qadam hoi chuka tha
sargarm-e-suKHan mujh se jo wo aa ke na hota
ThanDa main tah-e-tegh-e-sitam hoi chuka tha
dekha but-e-nau-KHat ne jo mujh ko to kiya chaak
nama to raqibon ko raqam hoi chuka tha
wo jit gae pansa-e-taqdir se 'tanwir'
pas un ke to ek ek diram hoi chuka tha
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.