raigani hi raigani thi
rā.igānī hī rā.igānī thī
kyā kahānī mirī kahānī thī
ik to raajā ġhazab kā ziddī thā
phir vo raanī bhī qaisarānī thī
vo bhī terī dulhan ko pahnā dī
jo añgūThī tirī nishānī thī
kitne daav chalā.e duniyā ne
par vo laḌkī baḌī siyānī thī
ek chhoTā sā ghar nahīñ thā vo
shāh-zādī kī rājdhānī thī
vo jo dil meñ samā nahīñ paa.ī
ek til meñ kahāñ samānī thī
phir se ik yaad ke ta.āqub meñ
aañkh kal shaam paanī paanī thī
merā bantā thā jaan se jaanā
us kī āñkhoñ meñ bad-gumānī thī
daan kar dī zamīn-zādoñ ko
vo mohabbat jo āsmānī thī
chaa.e piinā to ik bahāna thā
aarzū dil kī tarjumānī thī
vo mohabbat kahāñ thī 'īmāñ' jī
ik musībat thī nā-gahānī thī
raigani hi raigani thi
kya kahani meri kahani thi
ek to raja ghazab ka ziddi tha
phir wo rani bhi qaisarani thi
wo bhi teri dulhan ko pahna di
jo anguThi teri nishani thi
kitne daw chalae duniya ne
par wo laDki baDi siyani thi
ek chhoTa sa ghar nahin tha wo
shah-zadi ki rajdhani thi
wo jo dil mein sama nahin pai
ek til mein kahan samani thi
phir se ek yaad ke taaqub mein
aankh kal sham pani pani thi
mera banta tha jaan se jaana
us ki aankhon mein bad-gumani thi
dan kar di zamin-zadon ko
wo mohabbat jo aasmani thi
chae pina to ek bahana tha
aarzu dil ki tarjumani thi
wo mohabbat kahan thi 'iman' ji
ek musibat thi na-gahani thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.