raigani ki riyazat bhi nahin kar sakta
rā.igānī kī riyāzat bhī nahīñ kar saktā
TuuTe rishtoñ kī marammat bhī nahīñ kar saktā
ghar kī raunaq kā sabab hote haiñ bachche ya.anī
shor hone pe shikāyat bhī nahīñ kar saktā
jis tarah maiñ ne tire naam kiyā hai sab kuchh
is tarah koī vasiyyat bhī nahīñ kar saktā
camera aañkh meñ zindān liye phirtā hai
koī tasvīr se hijrat bhī nahīñ kar saktā
har kisī ko to mayassar nahīñ merī āñkheñ
har koī terī ziyārat bhī nahīñ kar saktā
raigani ki riyazat bhi nahin kar sakta
TuTe rishton ki marammat bhi nahin kar sakta
ghar ki raunaq ka sabab hote hain bachche yani
shor hone pe shikayat bhi nahin kar sakta
jis tarah main ne tere nam kiya hai sab kuchh
is tarah koi wasiyyat bhi nahin kar sakta
camera aankh mein zindan liye phirta hai
koi taswir se hijrat bhi nahin kar sakta
har kisi ko to mayassar nahin meri aankhen
har koi teri ziyarat bhi nahin kar sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.