rakh mazi ki kuredoge to kya paoge
raakh maazī kī kuredoge to kyā pāoge
koī chingārī nikal aa.ī to jal jāoge
ek qatra bhī agar ho to bachā kar rakhnā
ḳhuun kā qaht paḌegā to kahāñ jāoge
ho lagī maġhribī tahzīb kī mehñdī jis meñ
kaise us haath se talvār uThā pāoge
jis se vābasta hai ajdād kī azmat kā bharam
us havelī ko jo bechoge to pachhtāoge
ahd-e-hāzir meñ vafāoñ kā natīja kyā hai
tum jo 'ālam' se miloge to samajh jāoge
rakh mazi ki kuredoge to kya paoge
koi chingari nikal aai to jal jaoge
ek qatra bhi agar ho to bacha kar rakhna
KHun ka qaht paDega to kahan jaoge
ho lagi maghribi tahzib ki mehndi jis mein
kaise us hath se talwar uTha paoge
jis se wabasta hai ajdad ki azmat ka bharam
us haweli ko jo bechoge to pachhtaoge
ahd-e-hazir mein wafaon ka natija kya hai
tum jo 'alam' se miloge to samajh jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.