ranai mein Dubi hui pai teri aawaz
ra.anā.ī meñ Duubī huī paa.ī tirī āvāz
kyā ḳhuub ḳhudā ne hai banā.ī tirī āvāz
maḳhmūr hai har taar mire sāz-e-nafas kā
kānoñ meñ mire jab se hai aa.ī tirī āvāz
ye merā junūñ hai ki hai āvāz kā jaadū
āñkhoñ se bhī detī hai dikhā.ī tirī āvāz
mastī bhare lahje meñ jahāñ tū huā goyā
gahrā.ī meñ jaañ kī utar aa.ī tirī āvāz
koyal kī ye shīrīñ sadā sauġhāt hai terī
bulbul ne bhī tujh se hai churā.ī tirī āvāz
le de ke faqat kaan pe mauqūf nahīñ hai
kartī hai tah-e-dil meñ rasā.ī tirī āvāz
kartā hai shab-o-roz 'nadīm' itnī duā.eñ
tujh se na kahīñ māñge judā.ī tirī āvāz
ranai mein Dubi hui pai teri aawaz
kya KHub KHuda ne hai banai teri aawaz
maKHmur hai har tar mere saz-e-nafas ka
kanon mein mere jab se hai aai teri aawaz
ye mera junun hai ki hai aawaz ka jadu
aankhon se bhi deti hai dikhai teri aawaz
masti bhare lahje mein jahan tu hua goya
gahrai mein jaan ki utar aai teri aawaz
koyal ki ye shirin sada saughat hai teri
bulbul ne bhi tujh se hai churai teri aawaz
le de ke faqat kan pe mauquf nahin hai
karti hai tah-e-dil mein rasai teri aawaz
karta hai shab-o-roz 'nadim' itni duaen
tujh se na kahin mange judai teri aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.