rani bhi baadshah bhi sare ghulam chup
raanī bhī bādshāh bhī saare ġhulām chup
kirdār haiñ kahānī ke sab aaj shaam chup
jāhil adū se bātoñ se badla na le tū dost
is se baḌā nahīñ hai koī intiqām chup
be-nām ḳhvāhishoñ ne banāyā use halīf
paañv meñ sar-nigūñ thī kahīñ nā-tamām chup
tanhā.ī ho to bolnā sab se baḌā hai jurm
ho sāmne habīb to phir hai harām chup
ziine utar ke aa.e haiñ vo aise rū-ba-rū
dāñtoñ meñ uñgliyāñ haiñ sabhī ḳhush-kalām chup
dekho vo ālī-jāh haiñ ālī-maqām haiñ
hadd-e-adab hai rahiye ba-sad-ehtirām chup
dukh-dard kī bunat se kahānī huī hai ḳhatm
'tāhir' na un kā bhūle se bhī le tū naam chup
rani bhi baadshah bhi sare ghulam chup
kirdar hain kahani ke sab aaj sham chup
jahil adu se baaton se badla na le tu dost
is se baDa nahin hai koi intiqam chup
be-nam KHwahishon ne banaya use halif
panw mein sar-nigun thi kahin na-tamam chup
tanhai ho to bolna sab se baDa hai jurm
ho samne habib to phir hai haram chup
zine utar ke aae hain wo aise ru-ba-ru
danton mein ungliyan hain sabhi KHush-kalam chup
dekho wo aali-jah hain aali-maqam hain
hadd-e-adab hai rahiye ba-sad-ehtiram chup
dukh-dard ki bunat se kahani hui hai KHatm
'tahir' na un ka bhule se bhi le tu nam chup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.