ras aai jab talak mujhko na shiddat dhup ki
raas aa.ī jab talak mujh ko na shiddat dhuup kī
mere dil meñ barf-sūrat thī mohabbat dhuup kī
mujh ko to sahrā ke siine par utārā abr ne
kis liye mujh ko paḌī thī phir zarūrat dhuup kī
shaam ke saa.e ne par khole to zulmat chhā ga.ī
baa'd muddat ke nazar aa.ī thī sūrat dhuup kī
TuuT kar jab bhī giregā āsmāñ se āftāb
ḳhaak meñ mil jā.egī az-ḳhud ye shohrat dhuup kī
jūñhī kholī aañkh sūraj ne to bādal aa ga.e
chand lamhoñ ke liye chamkī thī qismat dhuup kī
ras aai jab talak mujh ko na shiddat dhup ki
mere dil mein barf-surat thi mohabbat dhup ki
mujh ko to sahra ke sine par utara abr ne
kis liye mujh ko paDi thi phir zarurat dhup ki
sham ke sae ne par khole to zulmat chha gai
ba'd muddat ke nazar aai thi surat dhup ki
TuT kar jab bhi girega aasman se aaftab
KHak mein mil jaegi az-KHud ye shohrat dhup ki
junhi kholi aankh suraj ne to baadal aa gae
chand lamhon ke liye chamki thi qismat dhup ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.