ras aai na koi rahguzar waqt laga
raas aa.ī na koī rāhguzar vaqt lagā
haa.e bekār gayā merā safar vaqt lagā
zaḳhm ghulte haiñ yahāñ vaqt kī guzarāñ se gar
raas aa.egī ye tanhā.ī agar vaqt lagā
maiñ bharī duniyā meñ kahtā thā tujhe apnā kabhī
khul ga.ī ramz-e-shanāsā.ī magar vaqt lagā
dil kī tanhā.ī kisī taur bhī jaane kī nahīñ
vaise kā vaisā hai ye zaḳhm-e-jigar vaqt lagā
ik jamā.at ne mire buġhz meñ kyā kyā na kiyā
kab mirā zarf huā zer-o-zabar vaqt lagā
us ne kun kah ke banā Daalī ye duniyā saarī
ham se ban paayā na ik adnā sā ghar vaqt lagā
ras aai na koi rahguzar waqt laga
hae bekar gaya mera safar waqt laga
zaKHm ghulte hain yahan waqt ki guzaran se gar
ras aaegi ye tanhai agar waqt laga
main bhari duniya mein kahta tha tujhe apna kabhi
khul gai ramz-e-shanasai magar waqt laga
dil ki tanhai kisi taur bhi jaane ki nahin
waise ka waisa hai ye zaKHm-e-jigar waqt laga
ek jamaat ne mere bughz mein kya kya na kiya
kab mera zarf hua zer-o-zabar waqt laga
us ne kun kah ke bana Dali ye duniya sari
hum se ban paya na ek adna sa ghar waqt laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.