ras aai usko meri wafa kam bahut hi kam
raas aa.ī us ko merī vafā kam bahut hī kam
is vāste hai us se gila kam bahut hī kam
dil kī ibāratoñ ko ziyāda nahīñ paḌhā
ham se ye kār-e-nek huā kam bahut hī kam
vo peḌ jis ke saa.e kī mujh ko talāsh thī
saaya milā to us kā milā kam bahut hī kam
tārīkī-e-hayāt se laḌne chalā hai vo
le kar charāġh dil meñ ziyā kam bahut hī kam
is daur kī fazāoñ meñ gard-o-ġhubār ne
chhoḌī hai ā.inoñ pe jilā kam bahut hī kam
hotī thī jis kī diid se taskīn-e-dil mujhe
vo shaḳhs ās-pās rahā kam bahut hī kam
aksar 'nasīm' jis ke muqābil gayā huuñ maiñ
qad merā us ke qad se lagā kam bahut hī kam
ras aai us ko meri wafa kam bahut hi kam
is waste hai us se gila kam bahut hi kam
dil ki ibaraton ko ziyaada nahin paDha
hum se ye kar-e-nek hua kam bahut hi kam
wo peD jis ke sae ki mujh ko talash thi
saya mila to us ka mila kam bahut hi kam
tariki-e-hayat se laDne chala hai wo
le kar charagh dil mein ziya kam bahut hi kam
is daur ki fazaon mein gard-o-ghubar ne
chhoDi hai aainon pe jila kam bahut hi kam
hoti thi jis ki did se taskin-e-dil mujhe
wo shaKHs aas-pas raha kam bahut hi kam
aksar 'nasim' jis ke muqabil gaya hun main
qad mera us ke qad se laga kam bahut hi kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.