ras aane lagi hai KHamoshi
raas aane lagī hai ḳhāmoshī
dil ko bhāne lagī hai ḳhāmoshī
silsila guftugū kā TuuT gayā
aane jaane lagī hai ḳhāmoshī
shor-e-goyā.ī har taraf sun kar
ḳhauf khāne lagī hai ḳhāmoshī
ahl-e-dil chup haiñ mājrā kyā hai
dil jalāne lagī hai ḳhāmoshī
lā-makāñ aur makān kā rishta
kyoñ chhupāne lagī hai ḳhāmoshī
bolte shahr hañste qariyoñ par
ab to chhāne lagī hai ḳhāmoshī
ban ke baiThe haiñ gūñge ab un ko
āzmāne lagī hai ḳhāmoshī
ek chup par hazār bāteñ kyoñ
ab banāne lagī hai ḳhāmoshī
ḳhālī zehnoñ meñ saañp kī mānind
sarsarāne lagī hai ḳhāmoshī
be-zabānī kā ye taqāzā hai
rang laane lagī hai ḳhāmoshī
ras aane lagi hai KHamoshi
dil ko bhane lagi hai KHamoshi
silsila guftugu ka TuT gaya
aane jaane lagi hai KHamoshi
shor-e-goyai har taraf sun kar
KHauf khane lagi hai KHamoshi
ahl-e-dil chup hain majra kya hai
dil jalane lagi hai KHamoshi
la-makan aur makan ka rishta
kyon chhupane lagi hai KHamoshi
bolte shahr hanste qariyon par
ab to chhane lagi hai KHamoshi
ban ke baiThe hain gunge ab un ko
aazmane lagi hai KHamoshi
ek chup par hazar baaten kyon
ab banane lagi hai KHamoshi
KHali zehnon mein sanp ki manind
sarsarane lagi hai KHamoshi
be-zabani ka ye taqaza hai
rang lane lagi hai KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.