ras aati hai na darweshi na sultani mujhe
raas aatī hai na darveshī na sultānī mujhe
apnī dānā.ī bhī ab lagtī hai nādānī mujhe
zindagī ik ḳhitta-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl-e-ḳhām hai
parda uThtā hai nazar aatī hai hairānī mujhe
ho ga.ī hai kam mujhe ab fursat-e-nazzārgī
har-taraf rahtī hai jalvoñ kī farāvānī mujhe
kaun rakhtā hai mujhe āvāra-e-kū-e-malāl
kar diyā hai aish-e-roz-o-shab kā zindānī mujhe
kar diyā hai kis ne duniyā meñ mujhe ḳhvār-o-ḳharāb
sauñp dī hai kis ne is dil kī nigahbānī mujhe
ab koī mushkil mujhe mushkil nazar aatī nahīñ
ho ga.ī hai ab to āsānī bhī āsānī mujhe
kis qadar apnī suhūlat meñ suhūlat thī mujhe
ho ga.ī kitnī girāñ apnī girāñ-jānī mujhe
jab se utrā hai 'ziyā' āñkhoñ se malbūs-e-nazar
ḳhush-libāsī bhī nazar aatī hai uryānī mujhe
ras aati hai na darweshi na sultani mujhe
apni danai bhi ab lagti hai nadani mujhe
zindagi ek KHitta-e-KHwab-o-KHayal-e-KHam hai
parda uThta hai nazar aati hai hairani mujhe
ho gai hai kam mujhe ab fursat-e-nazzargi
har-taraf rahti hai jalwon ki farawani mujhe
kaun rakhta hai mujhe aawara-e-ku-e-malal
kar diya hai aish-e-roz-o-shab ka zindani mujhe
kar diya hai kis ne duniya mein mujhe KHwar-o-KHarab
saunp di hai kis ne is dil ki nigahbani mujhe
ab koi mushkil mujhe mushkil nazar aati nahin
ho gai hai ab to aasani bhi aasani mujhe
kis qadar apni suhulat mein suhulat thi mujhe
ho gai kitni giran apni giran-jaani mujhe
jab se utra hai 'ziya' aankhon se malbus-e-nazar
KHush-libasi bhi nazar aati hai uryani mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.