ras aaya nahin hum ko tera aate rahna
raas aayā nahīñ ham ko tirā aate rahnā
yuuñ tirā barsoñ talak vā'da nibhāte rahnā
tū ne ye jaanā na ādāb-e-mohabbat kyā hai
har mulāqāt pe milne tirā aate rahnā
rā.egāñ ho gayā vo gaanā tirā raag basant
mausam-e-ḳhār meñ phūloñ ko ugāte rahnā
ik sadā terī bhī shāmil thī hujūm-e-tiflāñ
har sahar chhajje pe mujh ko bhī bulāte rahnā
jāntā to nahīñ kāñTe to mire dil meñ chubhe
phuul terā mirī rāhoñ meñ bichhāte rahnā
hai ye be-qufl qafas par vo parinda na uḌā
qissa-e-ishq tirā us ko sunāte rahnā
tere jaisā bhī hai ik shaḳhs zamāne bhar meñ
kab talak majnūñ aur rāñjhoñ ko gināte rahnā
raakh jab maiñ ne kuredī to kahe chingārī
kaam tum jaisoñ kā hai duniyā jalāte rahnā
rū-ba-rū aa.ine ke roz maiñ aa.uuñ kaise
kitnā mushkil hai nazar ḳhud se milāte rahnā
ras aaya nahin hum ko tera aate rahna
yun tera barson talak wa'da nibhate rahna
tu ne ye jaana na aadab-e-mohabbat kya hai
har mulaqat pe milne tera aate rahna
raegan ho gaya wo gana tera rag basant
mausam-e-KHar mein phulon ko ugate rahna
ek sada teri bhi shamil thi hujum-e-tiflan
har sahar chhajje pe mujh ko bhi bulate rahna
jaanta to nahin kanTe to mere dil mein chubhe
phul tera meri rahon mein bichhate rahna
hai ye be-qufl qafas par wo parinda na uDa
qissa-e-ishq tera us ko sunate rahna
tere jaisa bhi hai ek shaKHs zamane bhar mein
kab talak majnun aur ranjhon ko ginate rahna
rakh jab main ne kuredi to kahe chingari
kaam tum jaison ka hai duniya jalate rahna
ru-ba-ru aaine ke roz main aaun kaise
kitna mushkil hai nazar KHud se milate rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.