ras jab zindagi nahin aati
raas jab zindagī nahīñ aatī
to 'jigar' maut bhī nahīñ aatī
choT khātā nahīñ hai dil jab tak
ravish-e-zindagī nahīñ aatī
saath detī nahīñ agar taqdīr
raas tadbīr bhī nahīñ aatī
dil ko jab tak lage na koī baat
rañg par zindagī nahīñ aatī
hasrat-o-yās-o-ġham sabhī dil meñ
aate haiñ ik ḳhushī nahīñ aatī
hijr hai maut aur hijr baġhair
ishq meñ zindagī nahīñ aatī
samjheñ kyūñkar 'jigar' kā haal achchhā
ruḳh pe jab tāzgī nahīñ aatī
ras jab zindagi nahin aati
to 'jigar' maut bhi nahin aati
choT khata nahin hai dil jab tak
rawish-e-zindagi nahin aati
sath deti nahin agar taqdir
ras tadbir bhi nahin aati
dil ko jab tak lage na koi baat
rang par zindagi nahin aati
hasrat-o-yas-o-gham sabhi dil mein
aate hain ek KHushi nahin aati
hijr hai maut aur hijr baghair
ishq mein zindagi nahin aati
samjhen kyunkar 'jigar' ka haal achchha
ruKH pe jab tazgi nahin aati
- Book : Partav-e-ilhaam (Pg. 225)
- Author : Jigar Barelvi
- Publication : Publisher Nizami Book Agency, Budaun (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.