rasta be-zaban be-sada bhi nahin
rāsta be-zabāñ be-sadā bhī nahīñ
koī muḌ kar magar dekhtā bhī nahīñ
mere lahje se nā-āshnā bhī nahīñ
koī darvāza lekin khulā bhī nahīñ
'umr-bhar ham bhaTakte rahe dar-ba-dar
koī manzil koī rāsta bhī nahīñ
sar jhukā kar mile dostoñ se magar
qad hamārā kisī se ghaTā bhī nahīñ
ḳhud kī nazroñ meñ gir kar pata ye chalā
is se baḌh kar to koī sazā bhī nahīñ
ai falak tū hamārā nigahbān hai
in fasādoñ meñ ab kuchh bachā bhī nahīñ
inkisārī se milte haiñ 'e'jāz' ham
varna ham se to koī baḌā bhī nahīñ
rasta be-zaban be-sada bhi nahin
koi muD kar magar dekhta bhi nahin
mere lahje se na-ashna bhi nahin
koi darwaza lekin khula bhi nahin
'umr-bhar hum bhaTakte rahe dar-ba-dar
koi manzil koi rasta bhi nahin
sar jhuka kar mile doston se magar
qad hamara kisi se ghaTa bhi nahin
KHud ki nazron mein gir kar pata ye chala
is se baDh kar to koi saza bhi nahin
ai falak tu hamara nigahban hai
in fasadon mein ab kuchh bacha bhi nahin
inkisari se milte hain 'e'jaz' hum
warna hum se to koi baDa bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.