rasta de ai hujum-e-shahr ghar jaenge hum
rāsta de ai hujūm-e-shahr ghar jā.eñge ham
aur tere darmiyāñ Thahre to mar jā.eñge ham
ḳhush-ḳhirām āñkhoñ meñ us kā 'aks utartā hī nahīñ
ab ke us ke paas le kar chashm-e-tar jā.eñge ham
vo nahīñ to dhuul hī mil jaa.e us ke paañv kī
us galī meñ ab ke ban kar rahguzar jā.eñge ham
shāyad us dahlīz par rakkhā ho ab bhī vo charāġh
vāpsī kī raah meñ phir us ke ghar jā.eñge ham
'umr bhar paḌhte raheñge ik yahī aḳhbār-e-husn
aur saare sānehoñ se be-ḳhabar jā.eñge ham
jism kā kuuza hai apnā aur na ye dariyā-e-jāñ
jo lagā legā laboñ se us meñ bhar jā.eñge ham
'ishq ne roz-e-azal hī kar diyā thā faisla
phir kahāñ duniyā ke kahne se sudhar jā.eñge ham
'farhat-ehsās' apne shāgirdoñ meñ shāmil kar hameñ
varna is duniyā se yūñhī be-hunar jā.eñge ham
rasta de ai hujum-e-shahr ghar jaenge hum
aur tere darmiyan Thahre to mar jaenge hum
KHush-KHiram aankhon mein us ka 'aks utarta hi nahin
ab ke us ke pas le kar chashm-e-tar jaenge hum
wo nahin to dhul hi mil jae us ke panw ki
us gali mein ab ke ban kar rahguzar jaenge hum
shayad us dahliz par rakkha ho ab bhi wo charagh
wapsi ki rah mein phir us ke ghar jaenge hum
'umr bhar paDhte rahenge ek yahi aKHbar-e-husn
aur sare sanehon se be-KHabar jaenge hum
jism ka kuza hai apna aur na ye dariya-e-jaan
jo laga lega labon se us mein bhar jaenge hum
'ishq ne roz-e-azal hi kar diya tha faisla
phir kahan duniya ke kahne se sudhar jaenge hum
'farhat-ehsas' apne shagirdon mein shamil kar hamein
warna is duniya se yunhi be-hunar jaenge hum
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 64)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.