rasta dekh raha hun isi imkan ke sath
rāsta dekh rahā huuñ isī imkān ke saath
jaise vo bhuul gayā ho mujhe sāmān ke saath
jis meñ tum sīḌhiyāñ gin gin ke chale aate the
vahī kamrā hai mirā aaj bhī dālān ke saath
dīdanī hotā hai manzar vo junūñ-ḳhezī kā
jab maiñ dāman ko milātā huuñ garebān ke saath
sabza-o-gul na.ī tahzīb se ug jaate haiñ
ik numū-parvarī vābasta hai tūfān ke saath
der tak us se milā.e nahīñ rakkho āñkheñ
varna duniyā bhī chalī jā.egī īmān ke saath
saañs lenā bhī tirī yaad se mashrūt huā
tū ne kyā rog lagāyā hai mirī jaan ke saath
rasta dekh raha hun isi imkan ke sath
jaise wo bhul gaya ho mujhe saman ke sath
jis mein tum siDhiyan gin gin ke chale aate the
wahi kamra hai mera aaj bhi dalan ke sath
didani hota hai manzar wo junun-KHezi ka
jab main daman ko milata hun gareban ke sath
sabza-o-gul nai tahzib se ug jate hain
ek numu-parwari wabasta hai tufan ke sath
der tak us se milae nahin rakkho aankhen
warna duniya bhi chali jaegi iman ke sath
sans lena bhi teri yaad se mashrut hua
tu ne kya rog lagaya hai meri jaan ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.