rasta der tak sochta rah gaya
rāsta der tak sochtā rah gayā
jaane vaale kā kyuuñ naqsh-e-pā rah gayā
aaj phir dab ga.iiñ dard kī siskiyāñ
aaj phir gūñjtā qahqaha rah gayā
ab havā se shajar kar rahā hai gila
ek gul shāḳh par kyuuñ bachā rah gayā
jhuuT kahne lagā sach se bachne lagā
hausle miT ga.e tajraba rah gayā
hañste gaate hue lafz sab miT ga.e
āñsuoñ se likhā hāshiya rah gayā
vaqt kī dhaar meñ bah gayā sab magar
naam dīvār par ik likhā rah gayā
us ke dam se kahe sher maiñ ne 'hilāl'
phuul is dhuup meñ jo khilā rah gayā
rasta der tak sochta rah gaya
jaane wale ka kyun naqsh-e-pa rah gaya
aaj phir dab gain dard ki siskiyan
aaj phir gunjta qahqaha rah gaya
ab hawa se shajar kar raha hai gila
ek gul shaKH par kyun bacha rah gaya
jhuT kahne laga sach se bachne laga
hausle miT gae tajraba rah gaya
hanste gate hue lafz sab miT gae
aansuon se likha hashiya rah gaya
waqt ki dhaar mein bah gaya sab magar
nam diwar par ek likha rah gaya
us ke dam se kahe sher main ne 'hilal'
phul is dhup mein jo khila rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.