rasta hai pur-KHatar ye soch kar
rāsta hai pur-ḳhatar ye soch kar
sub.h se baiThā huuñ maiñ dahlīz par
shāḳh-e-tanhā par kabhī thā āshiyāñ
āshiyāñ meñ āsmān-o-bāl-o-par
be-dar-o-dīvār duniyā ishq kī
kho gayā sansār zer-e-bām-o-dar
TūTtā jaatā hai merā hausla
aa rahā hai merī jānib rāhbar
chal ki tujh ko tere ghar tak chhoḌ duuñ
tū agar rahne de mujh ko mere ghar
aaj tak aa.e na jo zer-e-qalam
DhūñD vo alfāz jo haiñ dar-ba-dar
rasta hai pur-KHatar ye soch kar
subh se baiTha hun main dahliz par
shaKH-e-tanha par kabhi tha aashiyan
aashiyan mein aasman-o-baal-o-par
be-dar-o-diwar duniya ishq ki
kho gaya sansar zer-e-baam-o-dar
TuTta jata hai mera hausla
aa raha hai meri jaanib rahbar
chal ki tujh ko tere ghar tak chhoD dun
tu agar rahne de mujh ko mere ghar
aaj tak aae na jo zer-e-qalam
DhunD wo alfaz jo hain dar-ba-dar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.