rasta hi rasta tha naqsh-e-pa tha hi nahin
rāsta hī rāsta thā naqsh-e-pā thā hī nahīñ
dasht-e-vahshat meñ koī apne sivā thā hī nahīñ
ibtidā se paḌh chuke dil kī kitāb āḳhir talak
lekin is meñ to kahīñ zikr-e-vafā thā hī nahīñ
vo koī gor-e-ġharībāñ thā ki thā shahr-e-ġhazal
ās-pās us ke koī ātish-navā thā hī nahīñ
husn-e-sīrat se munavvar thī fazā-e-anjuman
itne chehroñ ke muqābil aa.ina thā hī nahīñ
sāhib-e-ehsās hī sunte rahe ġhairoñ kā dukh
apnā ġham az-ibtidā tā-intihā thā hī nahīñ
vo to the 'iqbāl' bas har haal meñ sarshār-e-ishq
bandagān-e-ishq ko roz-e-jazā thā hī nahīñ
rasta hi rasta tha naqsh-e-pa tha hi nahin
dasht-e-wahshat mein koi apne siwa tha hi nahin
ibtida se paDh chuke dil ki kitab aaKHir talak
lekin is mein to kahin zikr-e-wafa tha hi nahin
wo koi gor-e-ghariban tha ki tha shahr-e-ghazal
aas-pas us ke koi aatish-nawa tha hi nahin
husn-e-sirat se munawwar thi faza-e-anjuman
itne chehron ke muqabil aaina tha hi nahin
sahib-e-ehsas hi sunte rahe ghairon ka dukh
apna gham az-ibtida ta-intiha tha hi nahin
wo to the 'iqbaal' bas har haal mein sarshaar-e-ishq
bandagan-e-ishq ko roz-e-jaza tha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.