rasta hoga jab tak na hamwar sa
rāsta hogā jab tak na hamvār sā
har safar hogā phir us pe dushvār sā
ye ḳhulūs-o-mohabbat kī zanjīr thī
jis ne kar Daalā us ko giraftār sā
us kā chehra lakīroñ meñ baT sā gayā
apnī ḳhātir banā hai vo āzār sā
is zabāñ se use kuchh na kahnā magar
lafz tahrīr meñ rakhnā talvār sā
kyā 'robīna' tire haath thakte nahīñ
likhte likhte kahānī kā kirdār sā
rasta hoga jab tak na hamwar sa
har safar hoga phir us pe dushwar sa
ye KHulus-o-mohabbat ki zanjir thi
jis ne kar Dala us ko giraftar sa
us ka chehra lakiron mein baT sa gaya
apni KHatir bana hai wo aazar sa
is zaban se use kuchh na kahna magar
lafz tahrir mein rakhna talwar sa
kya 'robina' tere hath thakte nahin
likhte likhte kahani ka kirdar sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.