rasta mein ek naya manzar nazar aaya to kya
rasta mein ek naya manzar nazar aaya to kya
Mardan Ali Khan Nishat
MORE BYMardan Ali Khan Nishat
rāsta meñ ik nayā manzar nazar aayā to kyā
saath chalne apne koī ham-safar aayā to kyā
kaun suljhā pā.egā ishq-o-junūñ kī gutthiyāñ
ahl-e-dil aayā to kyā ahl-e-nazar aayā to kyā
vaqf jab ham ne kiyā ḳhud ko ḳhudā kī raah meñ
apne hāthoñ meñ liye vo sīm-o-zar aayā to kyā
baḳhshe jā.eñge ġhulāmān-e-nabī roz-e-jazā
vaañ farishta koī fard-e-jurm gar laayā to kyā
jāda-e-haq par raheñge gāmzan ham to 'nishāt'
raah meñ bahkāne ham ko rāhbar aayā to kyā
rasta mein ek naya manzar nazar aaya to kya
sath chalne apne koi ham-safar aaya to kya
kaun suljha paega ishq-o-junun ki gutthiyan
ahl-e-dil aaya to kya ahl-e-nazar aaya to kya
waqf jab hum ne kiya KHud ko KHuda ki rah mein
apne hathon mein liye wo sim-o-zar aaya to kya
baKHshe jaenge ghulaman-e-nabi roz-e-jaza
wan farishta koi fard-e-jurm gar laya to kya
jada-e-haq par rahenge gamzan hum to 'nishat'
rah mein bahkane hum ko rahbar aaya to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.