rasta pur-Khaar dilli dur hai
rāsta pur-ḳhār dillī duur hai
sach kahā hai yaar dillī duur hai
kaam dillī ke sivā hote nahīñ
aur nā-hanjār dillī duur hai
ab kisī jā bhī sukūñ miltā nahīñ
āsmāñ qahhār dillī duur hai
phūñk detā hai har ik ke kaan meñ
sub.h kā aḳhbār dillī duur hai
kal talak kahte haiñ dillī duur thī
aaj bhī sarkār dillī duur hai
sub.h guzrī shaam hone aa.ī miir
tez kar raftār dillī duur hai
kaun dillī se masīhā lā.egā
ai dil-e-bīmār dillī duur hai
rasta pur-KHar dilli dur hai
sach kaha hai yar dilli dur hai
kaam dilli ke siwa hote nahin
aur na-hanjar dilli dur hai
ab kisi ja bhi sukun milta nahin
aasman qahhaar dilli dur hai
phunk deta hai har ek ke kan mein
subh ka aKHbar dilli dur hai
kal talak kahte hain dilli dur thi
aaj bhi sarkar dilli dur hai
subh guzri sham hone aai mir
tez kar raftar dilli dur hai
kaun dilli se masiha laega
ai dil-e-bimar dilli dur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.