rasta tang hai lekin hamein chalna hoga
rāsta tang hai lekin hameñ chalnā hogā
bhiiḌ se bach ke bahar-hāl nikalnā hogā
le liyā ham ne muqaddar se gulāboñ meñ janam
ab ye sachchā.ī hai kāñToñ meñ hī palnā hogā
jin charāġhoñ pe ujāloñ kī hai zimmedārī
āñdhiyoñ meñ bhī bilā ḳhauf unheñ jalnā hogā
ham ne barfīlī chaTānoñ se mohabbat kar lī
vo pighaltī haiñ to ham ko bhī pighalnā hogā
aadmī se laqab insān kā paane ke liye
apne armān ko saḳhtī se kuchalnā hogā
ai 'qamar' pech-o-ḳham-e-rāh pe chalnā hai tujhe
har qadam par tire Thokar hai sañbhalnā hogā
rasta tang hai lekin hamein chalna hoga
bhiD se bach ke bahar-haal nikalna hoga
le liya hum ne muqaddar se gulabon mein janam
ab ye sachchai hai kanTon mein hi palna hoga
jin charaghon pe ujalon ki hai zimmedari
aandhiyon mein bhi bila KHauf unhen jalna hoga
hum ne barfili chaTanon se mohabbat kar li
wo pighalti hain to hum ko bhi pighalna hoga
aadmi se laqab insan ka pane ke liye
apne arman ko saKHti se kuchalna hoga
ai 'qamar' pech-o-KHam-e-rah pe chalna hai tujhe
har qadam par tere Thokar hai sanbhalna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.