raste ghar tamam patthar ke
rāste ghar tamām patthar ke
har taraf tām-jhām patthar ke
vo lagā shauq-e-but-parastī kā
ho ga.e ham ġhulām patthar ke
der tak maiñ hañsā jo dekhā dair
pattharoñ ke maqām patthar ke
vo haram terā merā but-ḳhāna
sab kī jaḌ haiñ ye naam patthar ke
kyā huā aaj terī mahfil meñ
ham ko aa.e salām patthar ke
raste ghar tamam patthar ke
har taraf tam-jham patthar ke
wo laga shauq-e-but-parasti ka
ho gae hum ghulam patthar ke
der tak main hansa jo dekha dair
pattharon ke maqam patthar ke
wo haram tera mera but-KHana
sab ki jaD hain ye nam patthar ke
kya hua aaj teri mahfil mein
hum ko aae salam patthar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.