raste ki dhul ne pairon ko zaKHmi kar diya
rāste kī dhuul ne pairoñ ko zaḳhmī kar diyā
bahr se maahī alag karnā mujhe aatā nahīñ
baiTh jā.ūñ do ghaḌī ārām se yaaro kahīñ
zindagī ke dasht meñ aisā koī saaya nahīñ
ḳhvāb sā sundar badan thā bistar-e-kamḳhāb par
raat bhar phir bhī mire dil ne sukūñ paayā nahīñ
chhā ga.ī hai ḳhāmushī kī barf mere zehn par
kalpanā ke desh meñ sūraj kabhī martā nahīñ
narm jismoñ kī ḳhushī āñkhoñ meñ bhar kar raat ko
sabza-e-ḳhud-rau pe 'aḳhtar' maiñ kabhī soyā nahīñ
raste ki dhul ne pairon ko zaKHmi kar diya
bahr se mahi alag karna mujhe aata nahin
baiTh jaun do ghaDi aaram se yaro kahin
zindagi ke dasht mein aisa koi saya nahin
KHwab sa sundar badan tha bistar-e-kamKHab par
raat bhar phir bhi mere dil ne sukun paya nahin
chha gai hai KHamushi ki barf mere zehn par
kalpana ke desh mein suraj kabhi marta nahin
narm jismon ki KHushi aankhon mein bhar kar raat ko
sabza-e-KHud-rau pe 'aKHtar' main kabhi soya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.