raste ki samt aksar dekhte rahte hain kyon
rāste kī samt aksar dekhte rahte haiñ kyoñ
ḳhaak apne faisloñ kī chhānte rahte haiñ kyoñ
kyoñ jalā rakhte haiñ ham apne tajassus kā diyā
jis ko pā lete haiñ us ko DhūñDte rahte haiñ kyoñ
ham mahak ke isti.āre ko badalte kyoñ nahīñ
tohfa-e-ḳhushbū guloñ se māñgte rahte haiñ kyoñ
tajraba ham toḌne kā kyoñ use karte nahīñ
ranjishoñ ke dā.ere meñ ghūmte rahte haiñ kyoñ
lauh-e-nā-hamvār par harf-e-vafā to likh diyā
us kī bābat is qadar ab sochte rahte haiñ kyoñ
raste ki samt aksar dekhte rahte hain kyon
KHak apne faislon ki chhante rahte hain kyon
kyon jala rakhte hain hum apne tajassus ka diya
jis ko pa lete hain us ko DhunDte rahte hain kyon
hum mahak ke istiare ko badalte kyon nahin
tohfa-e-KHushbu gulon se mangte rahte hain kyon
tajraba hum toDne ka kyon use karte nahin
ranjishon ke daere mein ghumte rahte hain kyon
lauh-e-na-hamwar par harf-e-wafa to likh diya
us ki babat is qadar ab sochte rahte hain kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.