raston raston bhaTakta hun
rāstoñ rāstoñ bhaTaktā huuñ
jaane kis kī talāsh kartā huuñ
haar jaatā huuñ shaam hone tak
apne saa.e se roz laḌtā huuñ
zindagī dekh maiñ tirī ḳhātir
roz kis kis tarah se martā huuñ
merī hijrat hī merī fitrat hai
roz bastā huuñ roz ujaḌtā huuñ
sub.h-dam sab udharne lagte haiñ
ḳhvāb jo raat raat buntā huuñ
vāhime pāltā huuñ maiñ 'betāb'
aur parchhā.iyoñ se laḌtā huuñ
raston raston bhaTakta hun
jaane kis ki talash karta hun
haar jata hun sham hone tak
apne sae se roz laDta hun
zindagi dekh main teri KHatir
roz kis kis tarah se marta hun
meri hijrat hi meri fitrat hai
roz basta hun roz ujaDta hun
subh-dam sab udharne lagte hain
KHwab jo raat raat bunta hun
wahime palta hun main 'betab'
aur parchhaiyon se laDta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.