raat aadhi hai baat puri hai
raat aadhī hai baat puurī hai
terā milnā bahut zarūrī hai
daañv par hai vafā kināroñ kī
mauj kā lauTnā zarūrī hai
tujh se ḳhushbū hai mere lafzoñ meñ
tere bin ye ġhazal adhūrī hai
qurbateñ ham bhī chāhte haiñ magar
darmiyāñ fāsla zarūrī hai
pāsdārī to hai ravayyoñ meñ
par diloñ meñ abhī bhī duurī hai
raat aadhi hai baat puri hai
tera milna bahut zaruri hai
danw par hai wafa kinaron ki
mauj ka lauTna zaruri hai
tujh se KHushbu hai mere lafzon mein
tere bin ye ghazal adhuri hai
qurbaten hum bhi chahte hain magar
darmiyan fasla zaruri hai
pasdari to hai rawayyon mein
par dilon mein abhi bhi duri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.