raat aaegi to ghar jaenge
raat aa.egī to ghar jā.eñge
laakh simTe hoñ bikhar jā.eñge
ghar bhī hai koh-e-nidā hī jaisā
dil na chāhegā magar jā.eñge
paas aa jā.eñge hañste hue phuul
thak ke jab shaam ko ghar jā.eñge
apnī parchhā.īñ ho ki apnā gunāh
saath jā.eñge jidhar jā.eñge
ham 'kiran' raushnī dene ke liye
tīrgī hogī jidhar jā.eñge
raat aaegi to ghar jaenge
lakh simTe hon bikhar jaenge
ghar bhi hai koh-e-nida hi jaisa
dil na chahega magar jaenge
pas aa jaenge hanste hue phul
thak ke jab sham ko ghar jaenge
apni parchhain ho ki apna gunah
sath jaenge jidhar jaenge
hum 'kiran' raushni dene ke liye
tirgi hogi jidhar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.