raat aankhon mein guzri sapne bhig gae
raat āñkhoñ meñ guzrī sapne bhiig ga.e
bārish se khiḌkī ke shīshe bhiig ga.e
bārish kī bochhāḌ to andar tak aa.ī
ḳhushk tanoñ ke sab andāze bhiig ga.e
bhiig ga.e sab apnī apnī yādoñ meñ
kuchh rote kuchh hañste hañste bhiig ga.e
bhiig ga.e sab ḳhat rakkhe almārī meñ
aur un meñ sab likkhe va.ade bhiig ga.e
dekh diye kī lau tū ne to dekhe haiñ
kitnī āñkheñ kitne takiye bhiig ga.e
bādal ke hamrāh schōl se nikle the
ghar tak aate aate baste bhiig ga.e
uḌte panchhī terī manzil duur hai kyā
dekh musāfir tere kapḌe bhiig ga.e
raat sitāre āñgan aur udaas āñkheñ
terī bāteñ karte karte bhiig ga.e
bāhar aa kar dekh ye manzar shahzādī
ham terī dahlīz pe baiThe bhiig ga.e
jaane kaise mausam kī ye bārish thī
merī āñkheñ tere sapne bhiig ga.e
jis bastī meñ dhuup sā ruup chamaktā thā
us bastī ke saare raste bhiig ga.e
raat aankhon mein guzri sapne bhig gae
barish se khiDki ke shishe bhig gae
barish ki bochhaD to andar tak aai
KHushk tanon ke sab andaze bhig gae
bhig gae sab apni apni yaadon mein
kuchh rote kuchh hanste hanste bhig gae
bhig gae sab KHat rakkhe almari mein
aur un mein sab likkhe wade bhig gae
dekh diye ki lau tu ne to dekhe hain
kitni aankhen kitne takiye bhig gae
baadal ke hamrah school se nikle the
ghar tak aate aate baste bhig gae
uDte panchhi teri manzil dur hai kya
dekh musafir tere kapDe bhig gae
raat sitare aangan aur udas aankhen
teri baaten karte karte bhig gae
bahar aa kar dekh ye manzar shahzadi
hum teri dahliz pe baiThe bhig gae
jaane kaise mausam ki ye barish thi
meri aankhen tere sapne bhig gae
jis basti mein dhup sa rup chamakta tha
us basti ke sare raste bhig gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.