raat aankhon mein KHwab aae the
raat aankhon mein KHwab aae the
Yasmin Husaini Zaidi Nikhat
MORE BYYasmin Husaini Zaidi Nikhat
raat āñkhoñ meñ ḳhvāb aa.e the
muskurāte janāb aa.e the
jis meñ marqūm thā vafā kā sabaq
phir vo le kar kitāb aa.e the
un ke hoñToñ ne jab ġhazal chheḌī
mere ruḳh par gulāb aa.e the
phuul khilne lage the sahrā meñ
sāmne phir sarāb aa.e the
mere hisse meñ har ḳhushī i
ġham bhī kuchh be-hisāb aa.e the
mere armān bah ga.e saare
abr ban kar azaab aa.e the
rāste meñ bikhar ga.ī 'nik.hat'
bas vo sūkhe gulāb aa.e the
raat aankhon mein KHwab aae the
muskuraate janab aae the
jis mein marqum tha wafa ka sabaq
phir wo le kar kitab aae the
un ke honTon ne jab ghazal chheDi
mere ruKH par gulab aae the
phul khilne lage the sahra mein
samne phir sarab aae the
mere hisse mein har KHushi i
gham bhi kuchh be-hisab aae the
mere arman bah gae sare
abr ban kar azab aae the
raste mein bikhar gai 'nikhat'
bas wo sukhe gulab aae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.