raat aankhon mein nind kya aai
raat āñkhoñ meñ niiñd kyā aa.ī
niiñd kyā aa.ī ik balā aa.ī
band kamre meñ jab liyā tirā naam
chaar atrāf se havā aa.ī
yaad kī rath pe jo savārī thī
yaad us ko kahīñ girā aa.ī
din bahut der tak rahā din bhar
raat aa.ī to be-qabā aa.ī
chiTḳhinī juuñ lagā ke palTā to
ek āvāz āshnā aa.ī
in ragoñ meñ kahīñ nahīñ thī saañs
us ke chhūne pe jā-ba-jā aa.ī
raat aankhon mein nind kya aai
nind kya aai ek bala aai
band kamre mein jab liya tera nam
chaar atraf se hawa aai
yaad ki rath pe jo sawari thi
yaad us ko kahin gira aai
din bahut der tak raha din bhar
raat aai to be-qaba aai
chiTKHini jun laga ke palTa to
ek aawaz aashna aai
in ragon mein kahin nahin thi sans
us ke chhune pe ja-ba-ja aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.