raat aati hai to bazar se lag jate hain
raat aatī hai to bāzār se lag jaate haiñ
dard hī dard ke ambār se lag jaate haiñ
chalte hī rahte haiñ ham par to qazā ke nashtar
ham bhī rote hue dīvār se lag jaate haiñ
aise tanhā.ī rag-e-jāñ se lipaT kar ro.e
jaise ḳhalvat meñ gale yaar se lag jaate haiñ
'ālam-e-shauq kināroñ kī kise fursat hai
ye safīne kabhī mañjhdār se lag jaate haiñ
zindagī tū bhī tamāshe ke sivā kuchh bhī nahīñ
dekhte dekhte āzār se lag jaate haiñ
chāñdnī raat meñ baiThe hue tanhā 'barham'
gum-shuda yādoñ ke darbār se lag jaate haiñ
raat aati hai to bazar se lag jate hain
dard hi dard ke ambar se lag jate hain
chalte hi rahte hain hum par to qaza ke nashtar
hum bhi rote hue diwar se lag jate hain
aise tanhai rag-e-jaan se lipaT kar roe
jaise KHalwat mein gale yar se lag jate hain
'alam-e-shauq kinaron ki kise fursat hai
ye safine kabhi manjhdar se lag jate hain
zindagi tu bhi tamashe ke siwa kuchh bhi nahin
dekhte dekhte aazar se lag jate hain
chandni raat mein baiThe hue tanha 'barham'
gum-shuda yaadon ke darbar se lag jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.