raat achchha laga
raat achchhā lagā
chāñd tum sā lagā
aa gayā jis pe dil
kaun kaisā lagā
hiir rāñjhā lagī
hiir rāñjhā lagā
jis kisī se mile
kam ziyāda lagā
ḳhud ko pahchānte
ik zamāna lagā
apnī apnī nazar
kaun kaisā lagā
kuchh pakaḌ meñ nahīñ
sab huā sā lagā
khel khelā koī
ghar kisī kā lagā
bas-ki ristā rahe
zaḳhm aisā lagā
kal kī chhoḌo miyāñ
aaj kaisā lagā
tum mire ho ga.e
vaqt kitnā lagā
jab ki tairāk tum
paar maiñ jā lagā
shaḳhs 'āsī' fuzūl
shā.ir achchhā lagā
raat achchha laga
chand tum sa laga
aa gaya jis pe dil
kaun kaisa laga
hir ranjha lagi
hir ranjha laga
jis kisi se mile
kam ziyaada laga
KHud ko pahchante
ek zamana laga
apni apni nazar
kaun kaisa laga
kuchh pakaD mein nahin
sab hua sa laga
khel khela koi
ghar kisi ka laga
bas-ki rista rahe
zaKHm aisa laga
kal ki chhoDo miyan
aaj kaisa laga
tum mere ho gae
waqt kitna laga
jab ki tairak tum
par main ja laga
shaKHs 'asi' fuzul
shair achchha laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.