raat baqi hai charaghon ko jalae rakhiye
raat baaqī hai charāġhoñ ko jalā.e rakhiye
ye sitāre abhī palkoñ pe sajā.e rakhiye
ain mumkin hai yahāñ se koī iisā guzre
amn kī laash ko kāñdhoñ pe uThā.e rakhiye
aag barsā.egā rāhoñ meñ ġhamoñ kā sūraj
apne hamrāh duāoñ ke bhī saa.e rakhiye
baat niklegī to ahbāb kī ġhībat hogī
rāz-e-ġham apnā zamāne se chhupā.e rakhiye
in se vābasta haiñ gulshan kī bahāreñ 'zāhid'
in gulāboñ ko ḳhizāoñ se bachā.e rakhiye
raat baqi hai charaghon ko jalae rakhiye
ye sitare abhi palkon pe sajae rakhiye
ain mumkin hai yahan se koi isa guzre
amn ki lash ko kandhon pe uThae rakhiye
aag barsaega rahon mein ghamon ka suraj
apne hamrah duaon ke bhi sae rakhiye
baat niklegi to ahbab ki ghibat hogi
raaz-e-gham apna zamane se chhupae rakhiye
in se wabasta hain gulshan ki bahaaren 'zahid'
in gulabon ko KHizaon se bachae rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.