raat be-KHwabiyon ka safar tere bin
raat be-ḳhvābiyoñ kā safar tere bin
din hai bechainiyoñ kā nagar tere bin
qurbateñ fāsloñ meñ badaltī rahīñ
bad-gumānī har ik moḌ par tere bin
chāñdnī meñ sahar, husn, ThanDak na nuur
aib thā us kā har ik hunar tere bin
ḳhvāb ḳhāna-ba-doshoñ se phirte rahe
niiñd bhī ho ga.ī dar-ba-dar tere bin
mere bāloñ meñ chāñdī pirote rahe
tez-raftār shām-o-sahar tere bin
phir tire lauTne kī ḳhabar aa.ī thī
ham nahīñ the kabhī be-ḳhabar tere bin
āñkheñ jaltī haiñ merī diyoñ kī jagah
shaam se ghar kī dahlīz par tere bin
ab na sāvan, na jhūle, na sakhiyāñ, na giit
jaise ḳhāmosh saarā nagar tere bin
chāñdnī DhūñDhtī thī tire naqsh-e-pā
raat, tāroñ kī dahlīz par tere bin
raat be-KHwabiyon ka safar tere bin
din hai bechainiyon ka nagar tere bin
qurbaten faslon mein badalti rahin
bad-gumani har ek moD par tere bin
chandni mein sahar, husn, ThanDak na nur
aib tha us ka har ek hunar tere bin
KHwab KHana-ba-doshon se phirte rahe
nind bhi ho gai dar-ba-dar tere bin
mere baalon mein chandi pirote rahe
tez-raftar sham-o-sahar tere bin
phir tere lauTne ki KHabar aai thi
hum nahin the kabhi be-KHabar tere bin
aankhen jalti hain meri diyon ki jagah
sham se ghar ki dahliz par tere bin
ab na sawan, na jhule, na sakhiyan, na git
jaise KHamosh sara nagar tere bin
chandni DhunDhti thi tere naqsh-e-pa
raat, taron ki dahliz par tere bin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.