raat-bhar aati rahi ek dard-parwarda sada
rāt-bhar aatī rahī ik dard-parvarda sadā
DhūñDhne nikle to saare dasht meñ koī na thā
jab kabhī maiñ ne koī tasvīr utārī zehn se
dahr meñ is shakl kā koī na koī mil gayā
hādsoñ ke kārvāñ ghar meñ bulā.e bār-bār
sirf ik jumle kī ḳhātir kyā huā kaise huā
DhūñDhtā phirtā thā jis ko dasht meñ bāzār meñ
kal mujhe vo aa.ine meñ ittifāqan mil gayā
ek lamha raah meñ aisā bhī aa pahuñchā thā jab
maiñ bhī koī aur thā aur vo bhī koī aur thā
ek saaya chhāntā rahtā hai ḳhaak is shahr meñ
chāñdnī kī loriyāñ detī hai jab ThanDī havā
jaane kyoñ logoñ ne ḳhāmoshī kī chādar oḌh lī
jab tumhārā tazkira 'ābid' zarā aane lagā
raat-bhar aati rahi ek dard-parwarda sada
DhunDhne nikle to sare dasht mein koi na tha
jab kabhi main ne koi taswir utari zehn se
dahr mein is shakl ka koi na koi mil gaya
hadson ke karwan ghar mein bulae bar-bar
sirf ek jumle ki KHatir kya hua kaise hua
DhunDhta phirta tha jis ko dasht mein bazar mein
kal mujhe wo aaine mein ittifaqan mil gaya
ek lamha rah mein aisa bhi aa pahuncha tha jab
main bhi koi aur tha aur wo bhi koi aur tha
ek saya chhanta rahta hai KHak is shahr mein
chandni ki loriyan deti hai jab ThanDi hawa
jaane kyon logon ne KHamoshi ki chadar oDh li
jab tumhaara tazkira 'abid' zara aane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.