raat-bhar hum ko rulane ka sabab puchhenge
rāt-bhar ham ko rulāne kā sabab pūchheñge
vo jo mil jaa.eñ satāne kā sabab pūchheñge
ho ke māyūs tire gaañv meñ ā.eñge magar
log phir lauT ke aane kā sabab pūchheñge
ḳhud hī vo duur bahut duur rahā karte haiñ
aur ham se hī bhulāne kā sabab pūchheñge
ik na ik roz chale ā.eñge ḳhud hī ham tak
ham se jab apnā banāne kā sabab pūchheñge
dastakeñ doge to kyā bologe ye to socho
sone vaale jo jagāne kā sabab pūchheñge
tum ko mā'lūm agar ho to batā do 'afsar'
ham agar pyaar nibhāne kā sabab pūchheñge
raat-bhar hum ko rulane ka sabab puchhenge
wo jo mil jaen satane ka sabab puchhenge
ho ke mayus tere ganw mein aaenge magar
log phir lauT ke aane ka sabab puchhenge
KHud hi wo dur bahut dur raha karte hain
aur hum se hi bhulane ka sabab puchhenge
ek na ek roz chale aaenge KHud hi hum tak
hum se jab apna banane ka sabab puchhenge
dastaken doge to kya bologe ye to socho
sone wale jo jagane ka sabab puchhenge
tum ko ma'lum agar ho to bata do 'afsar'
hum agar pyar nibhane ka sabab puchhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.