raat bhar shoala-e-jaan KHub baDhaya jae
raat bhar sho.ala-e-jāñ ḳhuub baḌhāyā jaa.e
phir dam-e-sub.h hī ḳhvāboñ ko jalāyā jaa.e
jab qazā likh hī chukī silsila-e-rāh-e-fanā
kyuuñ na phir vaqt-e-ajal jald bulāyā jaa.e
sā.at-e-shām-e-ġham-e-hijr kā sannāTā hai
shahr-e-auhām ko sapnoñ se sajāyā jaa.e
jiddat-e-vahshat-e-sahrā ke liye lāzim hai
dasht ke beach ab ik shahr basāyā jaa.e
bār-e-jāñ laad liyā sar pe aur ab sochte haiñ
itnā kaafī hai ki kuchh bojh baḌhāyā jaa.e
kurra-e-dīd ko daurān-e-taqāzā-e-nazar
kashish-e-saql-e-nazāra se chhuḌāyā jaa.e
shorish-e-ḳhāk-o-lahū dekh ke us ne sochā
kyuuñ na ab ashk se insān banāyā jaa.e
tah se le aa.eñ use ham magar itnā to khule
kitnī gahrā.ī meñ jā kar use paayā jaa.e
raat bhar shoala-e-jaan KHub baDhaya jae
phir dam-e-subh hi KHwabon ko jalaya jae
jab qaza likh hi chuki silsila-e-rah-e-fana
kyun na phir waqt-e-ajal jald bulaya jae
saat-e-sham-e-gham-e-hijr ka sannaTa hai
shahr-e-auham ko sapnon se sajaya jae
jiddat-e-wahshat-e-sahra ke liye lazim hai
dasht ke beach ab ek shahr basaya jae
bar-e-jaan lad liya sar pe aur ab sochte hain
itna kafi hai ki kuchh bojh baDhaya jae
kurra-e-did ko dauran-e-taqaza-e-nazar
kashish-e-saql-e-nazara se chhuDaya jae
shorish-e-KHak-o-lahu dekh ke us ne socha
kyun na ab ashk se insan banaya jae
tah se le aaen use hum magar itna to khule
kitni gahrai mein ja kar use paya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.