Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raat bhar tanha raha din bhar akela main hi tha

Ibrahim Ashk

raat bhar tanha raha din bhar akela main hi tha

Ibrahim Ashk

MORE BYIbrahim Ashk

    raat bhar tanhā rahā din bhar akelā maiñ thā

    shahr ābādiyoñ meñ apne jaisā maiñ thā

    maiñ dariyā maiñ tūfāñ maiñ thā har mauj bhī

    maiñ ḳhud ko gayā sadiyoñ se pyāsā maiñ thā

    kis liye katrā ke jaatā hai musāfir dam to le

    aaj sūkhā peḌ huuñ kal terā saayā maiñ thā

    kitne jazboñ nirālī ḳhushbueñ thiiñ mere paas

    koī un chāhne vaalā nahīñ thā maiñ thā

    duur se chāhne vaale mile har moḌ par

    fāsle saare miTāne ko taḌapnā maiñ thā

    merī aahaT sunñe vaalā dil na thā duniyā ke paas

    rāste meñ 'ashk' be-maqsad jo bhaTkā maiñ thā

    raat bhar tanha raha din bhar akela main hi tha

    shahr ki aabaadiyon mein apne jaisa main hi tha

    main hi dariya main hi tufan main hi tha har mauj bhi

    main hi KHud ko pi gaya sadiyon se pyasa main hi tha

    kis liye katra ke jata hai musafir dam to le

    aaj sukha peD hun kal tera saya main hi tha

    kitne jazbon ki nirali KHushbuen thin mere pas

    koi un ka chahne wala nahin tha main hi tha

    dur hi se chahne wale mile har moD par

    fasle sare miTane ko taDapna main hi tha

    meri aahaT sunne wala dil na tha duniya ke pas

    raste mein 'ashk' be-maqsad jo bhaTka main hi tha

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now