raat bhar TuTe hue KHwab ke aazar ke sath
raat bhar TuuTe hue ḳhvāb ke āzār ke saath
kaun rotā hai mirī aañkh kī dīvār ke saath
kis ne bāñdhā hai mire gird hisār-e-gardish
dā.era kaun banātā hai ye parkār ke saath
sar kaTā de ki jhukā de koī kamzor vahāñ
saath dene ko jo pūchhe koī talvār ke saath
ḳhud-kushī qatl-garī hādisa dahshat-gardī
roz ik sog chalā aatā hai aḳhbār ke saath
muskurātā huā ye dushman-e-derīna mirā
aaj maidān meñ aayā hai na.e vaar ke saath
raat bhar TuTe hue KHwab ke aazar ke sath
kaun rota hai meri aankh ki diwar ke sath
kis ne bandha hai mere gird hisar-e-gardish
daera kaun banata hai ye parkar ke sath
sar kaTa de ki jhuka de koi kamzor wahan
sath dene ko jo puchhe koi talwar ke sath
KHud-kushi qatl-gari hadisa dahshat-gardi
roz ek sog chala aata hai aKHbar ke sath
muskuraata hua ye dushman-e-derina mera
aaj maidan mein aaya hai nae war ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.