raat bhi baqi hai sahba bhi shisha bhi paimana bhi
raat bhī baaqī hai sahbā bhī shīsha bhī paimāna bhī
aise meñ kyuuñ chheḌ na deñ ham zikr-e-ġham-e-jānāna bhī
bastī meñ har ik rahtā hai apnā bhī begāna bhī
haal kisī ne pūchhā dil kā dard kisī ne jaanā bhī
haa.e tajāhul aaj hamīñ se pūchh rahe haiñ ahl-e-ḳhirad
sunte haiñ is shahr meñ rahtā hai koī dīvāna bhī
āḳhir saf tak aate aate har paimāna chhalkā hai
lekin ham tak aate aate TuuT gayā paimāna bhī
jis se dil kā zaḳhm harā ho aisā koī zikr na chheḌ
jis meñ us kā naam na aa.e aisā ik afsāna bhī
shahr kī rañgā-rañg nigāro dil vāloñ kī qadr karo
mahfil meñ donoñ jalte haiñ sham.a bhī parvāna bhī
raat bhi baqi hai sahba bhi shisha bhi paimana bhi
aise mein kyun chheD na den hum zikr-e-gham-e-jaanana bhi
basti mein har ek rahta hai apna bhi begana bhi
haal kisi ne puchha dil ka dard kisi ne jaana bhi
hae tajahul aaj hamin se puchh rahe hain ahl-e-KHirad
sunte hain is shahr mein rahta hai koi diwana bhi
aaKHir saf tak aate aate har paimana chhalka hai
lekin hum tak aate aate TuT gaya paimana bhi
jis se dil ka zaKHm hara ho aisa koi zikr na chheD
jis mein us ka nam na aae aisa ek afsana bhi
shahr ki ranga-rang nigaro dil walon ki qadr karo
mahfil mein donon jalte hain shama bhi parwana bhi
- Book : Qamat (Pg. 16)
- Author : Shahid Hussain
- Publication : Arshia Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.