raat bhi tera dhyan bhi hum bhi
raat bhī terā dhyān bhī ham bhī
chāñd bhī āsmān bhī ham bhī
apnī apnī anā kī qaid meñ haiñ
ḳhālī ḳhālī makān bhī ham bhī
kho ga.e gum-rahī ke sahrā meñ
manziloñ ke nishān bhī ham bhī
saaya saaya tamāzatoñ ke hujūm
dhuup bhī sā.ebān bhī ham bhī
ek sach ek vāhima ik jhuuT
vo bhī us kā gumān bhī ham bhī
apnī apnī saqāfatoñ ke amiin
ġhālib-e-ḳhush-bayān bhī ham bhī
maslahat ke hisār meñ ai 'mauj'
qaid urdu zabān bhī ham bhī
raat bhi tera dhyan bhi hum bhi
chand bhi aasman bhi hum bhi
apni apni ana ki qaid mein hain
KHali KHali makan bhi hum bhi
kho gae gum-rahi ke sahra mein
manzilon ke nishan bhi hum bhi
saya saya tamazaton ke hujum
dhup bhi saeban bhi hum bhi
ek sach ek wahima ek jhuT
wo bhi us ka guman bhi hum bhi
apni apni saqafaton ke amin
ghaalib-e-KHush-bayan bhi hum bhi
maslahat ke hisar mein ai 'mauj'
qaid urdu zaban bhi hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.