raat chhalki sharab aankhon mein
raat chhalkī sharāb āñkhoñ meñ
mahke saare hī ḳhvāb āñkhoñ meñ
dekho tum aisā kuchh nahīñ kahnā
hoñ jo nīñdeñ ḳharāb āñkhoñ meñ
sach kahūñ tum ne vo paḌhī hī nahīñ
hai jo likkhī kitāb āñkhoñ meñ
kyā kaheñ terī is adā ko ham
dete rahnā javāb āñkhoñ meñ
tum ne jis din se mujh ko chāhā hai
khil uThe haiñ gulāb āñkhoñ meñ
muntazir huuñ terī nigāhoñ kī
ban ke rahnā navāb āñkhoñ meñ
ai 'ratan' tujh se iltijā hai yahī
oḌhe rahnā naqāb āñkhoñ meñ
raat chhalki sharab aankhon mein
mahke sare hi KHwab aankhon mein
dekho tum aisa kuchh nahin kahna
hon jo ninden KHarab aankhon mein
sach kahun tum ne wo paDhi hi nahin
hai jo likkhi kitab aankhon mein
kya kahen teri is ada ko hum
dete rahna jawab aankhon mein
tum ne jis din se mujh ko chaha hai
khil uThe hain gulab aankhon mein
muntazir hun teri nigahon ki
ban ke rahna nawab aankhon mein
ai 'ratan' tujh se iltija hai yahi
oDhe rahna naqab aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.