raat darpesh thi musafir ko
raat darpesh thī musāfir ko
niiñd kyoñ aa ga.ī musāfir ko
kyā nagar hai ye dil dikhā.ī de
har taraf aag sī musāfir ko
kal mohabbat-sarā-e-hairat meñ
ik milā ajnabī musāfir ko
yaad ke be-karāñ samundar meñ
ik lahr le chalī musāfir ko
yaad aa jaa.eñ ḳhvāb jaise log
jaane kab kis ghaḌī musāfir ko
saath le kar chalī ga.ī apne
ik parī sāñvlī musāfir ko
ik sadā thī ki har ghaḌī har pal
jo bulātī rahī musāfir ko
ik kahānī bahut purānī sī
yaad aatī rahī musāfir ko
chup lagī jab bhī bhūlne vaale
yaad aa.e kabhī musāfir ko
duur bas ik charāġh jaltā thā
vo ajab raat thī musāfir ko
maut kā dasht paar kar letā
umr kī qaid thī musāfir ko
le chalī hai na.ī rifāqat kī
ik na.ī raushnī musāfir ko
ek vahshat meñ le ke phirtī thī
rāt-bhar chāñdnī musāfir ko
der tak yaad kar ke rotī rahī
ek laḌkī kisī musāfir ko
khīñch laatī hai apnī miTTī tak
ḳhaak kī dostī musāfir ko
raat darpesh thi musafir ko
nind kyon aa gai musafir ko
kya nagar hai ye dil dikhai de
har taraf aag si musafir ko
kal mohabbat-sara-e-hairat mein
ek mila ajnabi musafir ko
yaad ke be-karan samundar mein
ek lahr le chali musafir ko
yaad aa jaen KHwab jaise log
jaane kab kis ghaDi musafir ko
sath le kar chali gai apne
ek pari sanwli musafir ko
ek sada thi ki har ghaDi har pal
jo bulati rahi musafir ko
ek kahani bahut purani si
yaad aati rahi musafir ko
chup lagi jab bhi bhulne wale
yaad aae kabhi musafir ko
dur bas ek charagh jalta tha
wo ajab raat thi musafir ko
maut ka dasht par kar leta
umr ki qaid thi musafir ko
le chali hai nai rifaqat ki
ek nai raushni musafir ko
ek wahshat mein le ke phirti thi
raat-bhar chandni musafir ko
der tak yaad kar ke roti rahi
ek laDki kisi musafir ko
khinch lati hai apni miTTi tak
KHak ki dosti musafir ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.