raat-din itna sochta kya hai
rāt-din itnā sochtā kyā hai
sach batā terā mas.ala kyā hai
vo nazar de ki paḌh sakūñ maulā
merī taqdīr meñ likhā kyā hai
jo ta'āqub meñ hai mire us ko
zaat se merī fā.eda kyā hai
merī tā'rīf kar rahā hai magar
mere baare meñ jāntā kyā hai
jaan bhī tere naam par kar dī
aur tū mujh se chāhtā kyā hai
zaḳhm tujh ko milā hai jo 'ahmad'
mundamil hogā sochtā kyā hai
raat-din itna sochta kya hai
sach bata tera masala kya hai
wo nazar de ki paDh sakun maula
meri taqdir mein likha kya hai
jo ta'aqub mein hai mere us ko
zat se meri faeda kya hai
meri ta'rif kar raha hai magar
mere bare mein jaanta kya hai
jaan bhi tere nam par kar di
aur tu mujh se chahta kya hai
zaKHm tujh ko mila hai jo 'ahmad'
mundamil hoga sochta kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.