raat-din josh-e-junun se kaam hona chahiye
rāt-din josh-e-junūñ se kaam honā chāhiye
ishq kī duniyā meñ apnā naam honā chāhiye
miT na jaa.e is jahāñ se ishq kā nām-o-nishāñ
kuchh to pās-e-hasrat-e-nākām honā chāhiye
gul-ruḳhoñ kī baat chhoḌo vo ḳhizāñ-dīda haiñ phuul
fasl-e-gul kā zikr sub.h-o-shām honā chāhiye
zindagī miTtī hai miT jaa.e adā-e-farz meñ
farz kī takmīl par anjām honā chāhiye
chal diye sab dost aur ahbāb tanhā chhoḌ kar
ab to majbūran ġharīq-e-jām honā chāhiye
chārāgar se ho nahīñ saktā ġharībī kā ilaaj
ab ġharīboñ hī kā qatl-e-ām honā chāhiye
ye bhī hai koī hukūmat jis kī lāThī us kī bhaiñs
jānte ho is kā jo anjām honā chāhiye
azm-o-himmat ho to ban jaatā hai 'āzam' har koī
shart ye hai aadmī ḳhush-kām honā chāhiye
raat-din josh-e-junun se kaam hona chahiye
ishq ki duniya mein apna nam hona chahiye
miT na jae is jahan se ishq ka nam-o-nishan
kuchh to pas-e-hasrat-e-nakaam hona chahiye
gul-ruKHon ki baat chhoDo wo KHizan-dida hain phul
fasl-e-gul ka zikr subh-o-sham hona chahiye
zindagi miTti hai miT jae ada-e-farz mein
farz ki takmil par anjam hona chahiye
chal diye sab dost aur ahbab tanha chhoD kar
ab to majburan ghariq-e-jam hona chahiye
chaaragar se ho nahin sakta gharibi ka ilaj
ab gharibon hi ka qatl-e-am hona chahiye
ye bhi hai koi hukumat jis ki laThi us ki bhains
jaante ho is ka jo anjam hona chahiye
azm-o-himmat ho to ban jata hai 'azam' har koi
shart ye hai aadmi KHush-kaam hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.